Mumbai ki naye naye dulhanein ek ke baad ek raaz bhare andaaz mein gayab ho rahi hain, aur har jagah chhoda jaata hai sirf ek kala gulab. Inspector Abhimanyu jab case ki solve karna shuru karta hai, toh uska samna hota hai apne hi ateet ke ek darawane raaz se—Vidushak. Jaanch use le jaati hai Chiroudgarh, ek aisa gaon jahan 31 dulhano ki bali dekar ek tantrik anushthan pura kiya ja raha hai. Jaise jaise raaz gehra hota hai, waise waise maut, sammohan aur andhvishwas ka ek bhayanak jaal saamne aata hai. Kya Abhimanyu bacha payega inn dulhano ki bali chadne se?


