Jue mein Priya ko daav par lagana hai na? Toh main tayyar hoon apne maqsad ke liye main kuch bhi karoonga!" Aarav ki aankhon mein ek aag thi, aur dil mein sirf ek naam. King J. Gambling ki andheri duniya mein kadam rakhte hue Aarav jaanta tha ki yeh raasta use ya toh shikhar par le jaayega ya khai mein dhakel dega lekin woh ruka nahi, kyunki bachpan mein apne pita ko suicide karte dekhna aur unke aakhri shabdon mein "King J" sunna, uske dil mein ek toofan chhod gaya tha. Kaun hai King J? Kyon Aarav ke pita ne maut ko gale lagaya? Aur kya waaqai Aarav is khatarnak khel ka ant dekh payega?




