Married Isha, ek khoobsurat naujawan Kamal ko is kadar chahne lagti hai ki use khush dekhne ke liye apni saari haddein paar kar deti hai. Magar tabhi 'Mohini' naam ka toofan uski zindagi mein aisa zalzala ban kar aata hai ki Isha bhramjaal mein fanskar sach ko bhi nahi dekh paati aur ek jaanleva saazish ka shikaar ban jaati hai. Aakhir kaun hai is saazish ko anjaam dene wala? Kya hai Mohini ka raaz? Jaanne ke liye suniye 'Apraadh Vidhi'
