Ek secret service officer, Amar Verma ki zindagi tab ulat-pulat ho jaati hai jab uski ex-girlfriend Mandira ka achanak gayab hona ban jaata hai ek junoon. Mandira ko dhundhte hue Amar ko milti hai ek anjaan ladki jo Mandira ka naam use kar rahi hai. Mandira ka ye raaz Amar ko le jaata hai India mein ghuse hue Chinese spies ke ek khaufnaak jaal tak. Desh ki security khatre mein hai, aur Amar ka samna hota hai ek aise mastermind se, jiska code name hai ‘Dragonfly’. Kaun hai ye 'Dragonfly'? Aakhir kya hai Mandira ka raaz? Kya Amar pata laga payega aur jeet payega is jaanlewa khel me? Janne ke liye suniye, 'Dragonfly'.
