Saal 2020, China ki Wuhan city se nikala corona virus lagbhag poori duniya mein fail chuka tha. Charo taraf hahakaar macha tha. India bhi poori tarah Lockdown mein tha. Saare hospitals medicines , ventilators aur oxygen ki kami se joojh rahe the. Tab Desh ke kaam aaya IIT Kanpur. Jahan ke logo ne itni tezi se deshwasiyon ko bachane ke liye ventilators banaye jo ek record bana aur lakhon logon ki jaan bachi. Lekin kaise hua ye kaarnama? Batane ja rahe hain Is Audiobook "The Ventilator Project : How IIT Kanpur Saved India" mein.















