Iss audiobook mein John Reed ne 1917 ki Russia ki October kranti ke baare mein baat ki hai jo first world war ke baad 20th-century ki agli mahan ghatna thi. Ek tarah se dekha jaye to Reed ki ye kitaab Russia mein hui kranti ki sachi kahani batane mein ek safal koshish hai, us samay ki bhavnao ko pakadte hue, Reed ne Bolshevik netao ke saath janta ka mood, Netao ke bhashan ki report, aur darshako ki commentary, sainiko, kisano, sarkar ke patan, winter palace par hamle, inn sab vishyon ke baare mein charcha ki haiRead More