"Tum meri biwi ho aur tumhein chhoone ka haq sirf mera hai, samjhi tum?" Vikky ka pyaar itna khatarnak tha ki usne apni patni Jiya ko gundon ke hawaale kar diya, sirf isliye ki wo kisi aur mard ke kareeb gayi thi. Das saal ki shaadi mein dhokha khaane ke baad jab Jiya ne talaaq liya aur handsome businessman Samar se mulaqaat ki, to Vikky ka junoon had paar kar gaya. Magar kyon chahta hai Vikky sirf Jiya se hi bachcha? Kaun hai wo rahasymay vyakti jo coma mein pada hai aur jiske jaagne ka Vikky ko besabri se intezaar hai? Kya Samar aur Jiya ke beech sirf boss-employee ka rishta hai ya koi purana connection bhi hai?


