“Main tumhe kiss nahi kar sakta kyonki tum mere best friend ki sister ho”, Vivan ne itne kareeb aakar Aanya ko mana kiya tha ki uska dil toot gaya tha. Aanya apne bhai ke bestfriend aur apne bodyguard Vivan ke pyar mein pagal ho chuki thi lekin Vivan har baar uske kareeb aakar peechhe hat jata tha. Par Aanya ne isbar aisa plan banaya tha ki Vivan ke paas koi chara hi nahi bacha tha. Kya Vivan bach payega Aanya ke love trap se? Kya hoga jab Aanya ke bhai Aryan ko pata chalega unke ‘risky ishq’ ke baare mein?

