Siya ek anath ladki hai, jisne apna sab kuch Veer ke pyaar mein daav par laga diya. Lekin jab Veer ka heart fail ho jata hai, toh Siya uski zindagi bachane ke liye apni jaan ko sacrifice karne ka faisla karti hai. Apni jaan se bhi pyaare Veer ko bachane ke liye, Siya usse apna rishta tod deti hai aur uske liye apna dil donate karne ka decision leti hai, bina usse yeh bataye ki woh uske bacche ki maa banne wali hai. Toh kya Veer ko pata chalega ki uske seene mein dhadak raha dil asal mein Siya ka hai? Kya hoga jab sacrifice, pyaar aur guilt aamne saamne honge?

