6 saal pehle judwa bhai Vihan aur Aryan ne ek hi hotel mein do alag ladkiyon ke saath raat bitayi. Dono ne galti se aisa kiya. Subah hone tak unhe kuch bhi yaad nahi raha. Na ladkiyon ka chehra, na naam. Unmein se ek ladki thi Kanika. Usse sirf itna maloom tha ki uske saath Aryan ya Vihan mein se koi tha. Par kaun tha, ye usse bhi nahi pata. Waqt beeta. Sab apni zindagi mein aage badh gaye. Lekin 6 saal baad kismat ne teenon ko ek hi sheher mein phir la khada kiya. Is baar Kanika akeli nahi thi. Uske saath tha uska beta Mohak. Mohak ek ajeeb si bimari se joojh raha tha. Ye bimari usse uske baap se mili thi. Kanika ke paas na paisa tha, na sahara. Ab sawal ye hai. Kya Mohak ko uska asli baap milega? Kya Aryan aur Vihan ko us raat ki sachchai pata chalegi? Aur sabse bada raaz, wo doosri ladki kaun thi? Suniye ek raaz, ek galti aur ek maa-bete ke jazbaat se judi kahani.


