Sherlock Holmes actual mein ek fictional, ya ne ki kalpanik character hai, lekin inki kahaani inspired hai ek actual life person se, jo hai Dr. Joseph Bell. Dr. Bell Edinburgh University mein ek forensic scientist the aur Conan-Doyle jo Sherlock Holmes ke author hai, woh inke student the. Doyle Dr. Bell se itna zyada impress hui ki unhone inhe apni kahaani ka main character mana liya.
Dr. Bell baaton ki gehraiyon tak pohochne ke liye aur apne great observational skill ke liye jaane jate the. Sherlock par pehli kitaab, ‘A Study in Scarlet’ 1886 mein likhi gayi thi aur yeh 1887 mein feature hui ‘Beeton’s Christmas Annual‘ mein aur fir 1890 mein yeh feature hui ‘Lippincott’s Monthly Magazine‘ mein. Yeh pehla edition itna zyada rare hai ki yeh 2007 mein Sotheby’s mein $156,000 dollars ka bika tha.
1891 mein ‘The Strand Magazine‘ mein feature hone ke baad, is series aur character ki popularity badhti gayi aur isi vajah se kuch short stories aur 1927 mein do aur serialized novels publish hui.
Sherlock Holmes ke is collection ko ‘Canon’ kaha jata hai, jis mein hai 4 novels aur 56 short stories. 1900 mein Sherlock Holmes par pehli picture produce ki gayi thi. 1939 tak toh is novel par movies ki ek poori series aa chuki thi, jis mein acting kari thi Basil Rathbone ne. Is samay tak Holmes ka naam ke caps, glasses aur pipes bhi market mein bikne lagi thi.
Zyadatar yeh kahaniyaan, Holmes ke jigri dost, Dr. John H Watson ke nazariye se likhi ya sunai jaati hai aur yeh 1878 se lekar 1907 ke era ke baare mein hoti hai. In kahaniyon mein se ek kahaani, jo ki final case ke uper based thi, woh 1914 ke era se thi. Do kahaniyaan aisi bhi hai jo Holmes ke nazariye se likhi gayi hai aur do aur kahaniyaan, third person ke nazariye se likhi gayi hai.
1971 mein chhape ‘Ellery Queen’s Mystery Magazine‘ ek article ke according, Holmes ka character England ke Wendell Scherer namak detective se inspired hai. 1882 ke dauran is case aur khabar ko kaafi attention mila tha par yeh baat confirm nahi ho payi.

Toh yeh hai Sherlock Holmes ke origin ki kahaani!
Lekin aap sabke liye hai Sherlock Holmes ek khaas kahaani, sirf Kuku FM par.
Suniye, Sherlock: The Curse of Bhaskarvilla with Randeep Hooda and Karan Singh Grover only on Kuku FM.
Watch the show teaser HERE!


0 Comments

Leave a Reply

Avatar placeholder

Your email address will not be published. Required fields are marked *