14 saal ki Anika, jise sheher ke sabse ameer parivaar " Khurranas " ne adopt kiya tha. Unka zarurat se zyada accha hona, Anika ko andar hi andar pareshan kar raha tha. Har roz uske mann mein apne naye parents ko lekar naye sawaal janm lene lage the. Kya sach mein Anika ke naye maa-baap itne hi acche the jitna woh dikhate hai? Ya phir is acchai ke naqaab ke peeche chhupi thi ek khaufnaak saazish?

