Apne swayamvar ki raat, Amravati ki Rajkumari par ek shaktishaali mayavi jeev ka hamla hota hai, jo uski sanson ko rok deta hai. Lekin, ek door desh ka Rajkumar usse maut ke changul se chudane ki koshish karta hai. Kya ye veer Rajkumar Amravati ki Rajkumari ka jeevan bacha kar uska saathi banega, ya phir Rajkumari ke jeevan ki ye aakhri raat hogi?



