Lucknow ka ek aisa gangster, jiska naam sunte hi police walon ke chehre ka rang udd jaata tha. Ek-ek seedhi chadh kar, usne Uttar Pradesh ki crime duniya mein apna khauf banaya tha. Wo jitna bada apradhi tha, utna hi chhupa-rustom aur shaatir bhi. Lekin ek din, police ne uske khilaaf aisi chaal chali, jiska usne kabhi sapna bhi nahi dekha hoga. Kaun tha wo Don jise U.P. ka sabse bada gangster kaha gaya? Aur kis officer ne uski kahani ka the end likha? Uska encounter karne wali Police ko Baarati kyon kaha gaya? Janne ke liye suniye gripping true crime show "U.P. ka Don Kaun?"




