Tilottama ek aisi chudail hai jiske andar mardon ke sath raat guzarne ki pyaas hai. Par wo sirf unhi mardon ka shikar karti hai jo ghar par biwi hone ke bawjood, Tilottama ke sundarta ke jaal mein phas jate hai. Har poornima ki raat ko jab aasman mein chaand aur Rooppur ki pedon par phool safed se lal hone lagte hai, ganv wale samjh jate hai ki Tilottama ne apna shikar kar liya hai. Ek ajeeb sa sannata ganv ko gher leta hai, aur log apne gharon mein band ho jaate hain. Par in sab ke baad bhi kyu Rooppur ke log ab bhi karte hai apsara sadhna aur bulate hai aisi chudail ko?



