Jab Nishit pehli baar chhipkar Ahana ko Ronojoy ke saath bedroom mein dekhta hai, to uska man Ahana ke liye machal jaata hai. Par jab Ahana khud Nishit se love bite mangti hai, tab wo dar jata hai kyonki wo ek rakt pishach hai, aur Ahana ke khoon ki ek boond bhi uski khoon ki pyaas jaga sakti hai. Ahana ke liye apni tadap, aur apne raktpishach hone ki haqeeqat ke beech phansa Nishit, kaise payega Ahana ko? Kya hoga jab Ahana ko pata chalegi Nishit ki asliyat?



