Darjeeling ke ek hospital mein, Parth naam ka ek aadmi maut ke baad zinda ho uthta hai, uske honton par sirf ek naam hai, Vedika. Lekin Parth apne jeevan ke pichhle do saal ki yaadon se bilkul anjaan hai. Jab Vedika uske samne aati hai, toh dono ke beech ek ajeeb si kashmakash shuru hoti hai, pyaar, dard, aur dar ka rishta. Unke aaspaas ek tantrik shraap Nishachi ki andekhi taaqat ghoom rahi hai, jo sirf unka milna nahi balki unka jeena bhi mushkil kar rahi hai. Kya Parth apni khoyi hui yaadon ka raaz jaan payega? Aur kya Vedika is shrapit ishq se apne pyaar ko bacha payegi?
