Ananya aur Rohan school sweethearts the, jinhone pyaar se shaadi tak ka safar tay kiya. Shuruaat mein sab theek tha, lekin jab Rohan ki maa unke saath rehne aayi, taano aur zehrile bartav ne Ananya ki zindagi ko dard se bhar diya. Saas ke taane toh seh liye, par jab Rohan bhi usse neecha dikhane laga, Ananya andar se bikhar gayi. Tab uski zindagi mein Abhay aaya, ek aisi roshni bankar jo khud bhi kabhi andheron se guzra tha. Uski biwi Priya usse dhokha de rahi thi, aur uski simplicity ko uski kamzori samajhti thi. Dard se jujh rahe dono dil jab takraaye, toh ek naya sukoon mila. Dheere dheere pyaar bhi umadne laga. Lekin jab Ananya ko Rohan ke affair ka sach pata chala, woh uske liye sirf dhokha nahi, tabahi ban gaya. Kya Ananya aur Rohan ka rishta ab toot jayega? Kya Abhay aur Ananya ek ho payenge?



