Dhananjay army se retirement lekar apne kheton ko naxaliyon se bachane ghar to aa gaya par jaldi hi apne poore pariwar se haath dho baitha. Ab Dhananjay ke jeevan ka ek hi maksad hai badla aur iske liye usne banayi Dhananjay Sena. Kya Dhananjay Sena naxaliyon ka khatama kar payegi? Kya Police is muthbhed ko bas dekhti rahegi ya kuch karegi bhi? Kya in sab ke peeche koi rajnaitik sajish bhi hai? In sab sawalon ke jawabon ke liye sunte rahein Bihar ki jatigat rajniti par adharit gatha “Gun-Tantra”










