"Blockchain technology" aaj kal yeh word, hum apne aas paas sunte hi rehte hain, yahan tak ki Narendra Modi ne bhi apne ek bhashan mein iska zikr kiya tha aur kaha tha ki, "Yeh technology bharat ko ease of doing business mein upar lane ki kshamta rakhti hai. Par aakhir yeh blockchain technology hai kya? Kya cryptocurrency hi blockchain hai? Agar nahi to, iska use kaha aur kaise hota hai? Yeh technology kaam kaise karti hai aur isme aisa kya khaas hai ki aaj zyadatar tech giants isko aur samajhne ki koshish kar rahe hain? Kya yahi hai future? Chaliye jante hain











