"Aaj se tum mere joote polish karoge Billionaire Veer!" Kai Saalon baad Veer Raheja jab ghar lauta to uski saari duniya hi palat gayi. Uski Dad ki company Raheja Industries koi aur chalaa raha tha, uske ghar pe koi aur hukm chalaa raha tha, aur uski maa ko apne hi ghar pe rehne ke liye ek chotaa sa kamra de diya gaya tha. Aur ye sab karne vala tha us ghar ka vafadaar servant Vikram! Kya Veer apne Dad ki khoyi hui izzat aur daulat vapas la paega?













