India ke sabse famous CEO Aditya Verma ke peechhe hamesha reporters ki bheed lagi rahti hai, aur uske dushman uske naam se bhi darte hain, lekin ekdin jab uski life mein Anika aati hai to sabkuch badalne lagta hai. Aditya ko ek mysterious phone call aata hai jisme caller uska past duniya ko bata dene ki dhamki deta hai. Aditya ko pata tha ki agar uska past duniya ke samne aa gaya to uska sabkuch barbad ho jayega. Jab Aditya ko pata chalta hai ki wo caller kaun hai to hairan rah jaata hai. Par kaun hai wo caller aur wo Aditya ko kyon barbad karna hai? Aditya ke khilaf ho rahi saazish mein kya hai Anika ka haath? Aisa kya hai Aditya ke past mein jiske samne aane se wo barbad ho sakta hai?










