Kya hoga jab Naina ke liye jeene wala Kabir achanak usse divorce lene ka faisla le lega? Ek aisa faisla jo naa sirf Naina ko, balki unki chhoti si beti Aaira ko bhi tod kar rakh dega. Kabir ne sirf divorce hi nahin, balki saath mein maangi hai Aaira ki custody bhi. Inhi mushkilon ke beech shuru hua hai ek aisa coutroom drama, jisne Naina ke liye sirf ek rishta nahi, balki uski maa hone ki pehchaan par bhi sawal khade kar diye. Akeli Naina, jiske liye zindagi ab sirf ek jang ban chuki hai, uski zindagi tab badalni shuru hoti hai jab in sabhi complications ke beech entry hoti hai Aryan ki, ek aisa dost jo ab dheere-dheere Naina ki zindagi mein ek nayi umeed banne laga hai. Kya hoga iss rishte ka anjaam? Aakhir, Aaira ki custody kisko milegi? Aur kya ek toota hua pati ban paayega phir se ek behtar baap? Kya hoga jab Naina ke liye jeene wala Kabir achanak usse divorce lene ka faisla le lega? Ek aisa faisla jo naa sirf Naina ko, balki unki chhoti si beti Aaira ko bhi tod kar rakh dega. Kabir ne sirf divorce hi nahin, balki saath mein maangi hai Aaira ki custody bhi... Inhi mushkilon ke beech shuru hota hai ek aisa coutroom drama, jo Naina ke liye sirf ek rishta nahi, balki uski maa hone ki pehchaan par bhi sawal khada kar deta hai. Akeli Naina, jiske liye zindagi ab sirf ek jang ban chuki hai, uski life tab badalni shuru hoti hai jab in sabhi complications ke beech entry hoti hai Aryan ki- ek aisa dost jo ab dheere-dheere Naina ki zindagi mein ek nayi umeed banne laga hai. Kya hoga iss rishte ka anjaam? Aakhir, Aaira ki custody kisko milegi? Aur kya ek toota hua pati ban paayega phir se ek behtar baap?
