Ek kahani ek ladki ki, jiska naam hai Mishri - ek dil se pyaari, bubbly tourist guide jo apni zindagi ke saare sapne tyaag deti hai ek ameer videshi jode ke liye surrogate maa banne ke liye. Lekin jab wahi log uske bache ko apnane se inkaar kar dete hain aur uski zindagi mein badnaami le aate hain, toh Mishri ek nai jung shuru karti hai apni pehchaan wapas paane aur apni beti ke liye ek achha bhavishya banane ke liye. Is raah mein, uska saamna hota hai ek musafir Jay se, jo uske jeevan mein pyaar ka ek naya roop laata hai. Yeh kahani hai unki, jo samaaj ke bhhedbhaav aur galatfehmiyon ke khilaf ladkar apni zindagi hamesha ke liye badal dete hain.
