Ye kahani hai ek Vampire ke junooni Ishq aur badle ki. Jahan ek shaitani tantrik ki buri najar padte hi ek Premi jode ki zindagi ho jaati hai tabah. Ek tantrik ke shrap ke karan jahan masoom Darshika ki maut ho jaati hai vahi sadharan sa Avvyaan badal jata hai ek khooni pishach mein. Saalon se is shrap se jujh Rahe Avvyaan ki jindagi mein achanak fir se uska khoya pyar laut aata hai, sath hi aata hai wo tantrik bhi jiske karan hui thi unki jindagi barbad. Isi ke sath badal jaati hai uski khooni pyas , tantrik se badla lene, apne pyar ko wapas pane aur use bachane ke junoon me. To kaise is sharp se mukt hoga Avvyaan ? Kya is bar wo bacha payega apne pyar ko ? Ya fir ek bar wo tantrik laga dega unki jindagi mein grahan ?


