Ek taraf monasteries, prayer wheels aur Buddha ke shanti ke mantra. Doosri taraf tanks, missiles aur do nuclear powers ki armies. Tawang sirf India-China border ka ek pahadi ilaaka nahi hai. Yeh Tibetan Buddhism, Dalai Lama aur Asia ki geopolitics ke future ka centre ban chuka hai. 1959 mein Dalai Lama ke dramatic escape se lekar 1962 ki war aur agle Dalai Lama ki succession tak—yeh kahani hai Himalayas mein chal rahi ek aisi jung ki, jiska asli target sirf zameen nahi hai.













