Kya Universe hume signs bhejta hai? Kabhi kisi dost ka achanak khayal aata hai aur usi waqt uska call aa jaata hai. Kabhi 1111, 2222 jaise numbers baar-baar dikhte hain. Kabhi bina wajah kisi jagah ya insaan se ajeeb feeling aati hai. Kya ye sirf coincidence hai? Ya Universe ka signal? Ye show explore karega dreams, intuition, angel numbers, energy, luck, money aur subconscious mind ke un hidden connections ko jo shayad hum roz experience karte hain.















