Apne ateet se anjan Pakhi fans gayi hai ek rahasyamayi gufa mein. Ek gufa jahan basti hai ek alag duniya. Pakhi ko nahi pata ki wo is duniya ki rajkumari hai par Chakradhari aisa hone nahi dega. Kaise payegi Pakhi apna hak? Kaise bachegi wo Chakradhari ke tilism se? Janne ke liye sunein, Tilism ki duniya…
