Anika Desai ek successful doctor hai, lekin kabhi woh khoon dekhkar ghabra jaati thi aur injection lagane se bhi darrti thi. Parents ke pressure mein doctor bani Anika apne profession se kabhi connect nahi kar paayi. Lekin ek accident patient Raj Doshi uski zindagi badal deta hai. Raj ki positivity aur hausle se Anika dheere-dheere apne darr par jeet paati hai. Yeh kahani hai fear se confidence tak ke safar, self-discovery aur dil se doctor banne ki.















