Aryan apni Jaan dekar apni behen ki jaan bachaana chahta hai, lekin har bar naakam ho jata hai , aur use milta hai ek chamatkaari vardaan, jo uski taqdeer palat sakta hai. Lekin wahi vardaan uske liye shraap ban jata hai aur wo ek game ke aise daldal me fans jaata hai, jisme mask pehne hue log Aryan ki har move par nazar rakhe hue hain. Iss game mein har kadam pe hai ek naya twist, ek nayi saazish, aur har insaan ke peeche chhupi hai ek chaukane wali sachchai. Kya Aryan apne vardaan ka sahi istemal kar payega ya ban jaayega kisi aur ke game ka hissa? Kya woh apni behen ko bacha payega? Kya ye vardaan hai ya ek shraap?
