1960 mein Pandit Jawaharlal Nehru Ki sarkar ne Bombay Ka vibhajan Kiya aur isse bane do rajya. "Maharashtra" Aur "Gujarat".Lekin ye vibhajan hua Kyun? Kaise Mazdooron aur Daliton Ke liye ladne wale kuch logon ne ise andolan bana diya aur kaise ek kamre mein bani Maharashtra Ki political party Shiv Sena?Bal Thackeray to ek cartoonist the fir kaise ban gaye Maharashtra ke sher.Shiv Sena ke banne aur fir kuch kamzor hone se lekar Eknath Shinde ki bagawat tak sab batane ke liye ham le aaye hain "Thackerays And Shiv Sena".










