Vanshika ke magic brush se bani tasveerein sirf banti nahi, balki zinda ho jaati hain! Jab woh apni qala se Ved ko maut ke panjon se kheench laati hai, to dono ka rishta ek ajeeb dor se bandh jaata hai. Lekin Doomsagadh sirf ek basti nahi, isme kai ajnabi raaz dafan hain, Vanshika ki galti se wahan ka shaapit kuaan khul chuka hai. Kya Vanshika sirf Ved ko wapas laayi hai ya usne kisi mahashakti ko bhi azaad kar diya hai? Kya koi zinda bach payega Doomsagadh me?




