Muskil nahi kuch is duniya mein tu bas hausla to rakh. Doston, Ghar ya Office se bahar nikalte he aapko har gali, nukkad aur chauraahe par ek na ek chai wala to zarur dikh jayega, Par aaj hum jis Chai Wale ke baare mein aapko batane jaa rahe hain unki kahani thodi hat ke hai. Ye hain to ek Chaiwale par inki ginti safal Entrepreneurs mein hoti hai. Aakhir kya hai iss Chaiwale ki kahani, kaise hui unke journey ki shuruwat, Aakhir kyu pada inke start-Up ka naam MBA Chaiwala aur kaise bane ye ek youngest successful Entrepreneur jaanenge humare iss Original show "MBA Chaiwala" mein.











