Shanaya ek bold aur confident ladki thi, jo hamesha apni zindagi apne terms par jeeti aayi thi. Uski engagement Manav ke sath ho chuki thi, lekin uske dil mein kuch aur tha. Wo aksar Manav ko ignore karte hue doosre ladkon ke saath flirt karti thi, jo Manav ke liye ek gehra dard ban gaya tha. Manav, jo usse dil se pyaar karta tha, uski yeh harkatein bilkul bhi bardasht nahi kar pa raha tha. Phir ek din, Shanaya ko ek aisi sachai ka pata chalta hai jo uski puri zindagi ko badal ke rakh sakti thi. Uske papa ne Manav ke papa se dhokha karke property haadap li thi. Yeh sachai jab Manav ko pata chalegi, jiske karan dono ke ristey me tufaan aasakta hai. Kya Shanaya is sach ko chhupane mein kaamyaab ho paayegi? Aur sabse badi baat, kya Manav iss sach ko jaan kar uska saath dega ya unka rishta toot jayega?


