"Kukdi Rasam," ek khaufnaak rasam jisme shadi ki pehli raat safed chadar par khoon ke daag aurat ki pavitrata ka saboot mane jate hain. Is rasam ke naam par gaon ka sarpanch mahilao ka shoshan karta hai, unhe apni "Kathputli" banata hai. Lekin Badri is atyachar ke khilaf awaz uthata hai, aur uska saath deti hai Kamli ki atma aur uski premika Panna. Inki prem kahani bhi is samajik burai ke chakravyuh me ulajh jati hai. Kya "Kukdi Rasam" ka ant hoga? Kya Badri aur Panna apne pyaar ko anjaam tak le jaa paayenge?
