Kamayani "Kamini Mahal" ki sabse sundar aur prasiddh Nagar Vadhu thi, jisne apna sara jeevan mahal ke niyamon aur kartavya ka imaandari se palan krte hue "Kamini Mahal" Ki seva mein laga diya. Ek din usi Kamayani ko ho gaya ek sadharan se vyapari 'Chandra' se pyar. Jahan ek or Kamayani apne prem or kartvyo ke bich kisi ek ko chunne ki duvidha mein fansi hui thi, vahi dusri taraf Kamayani ke sabse kareebi log hi rach rhe the use "Kamini Mahal" se bahar karne ki sazish. Kya Kamayani ho jaayegi unki sajish ka shikar? Kya karegi Kamayani jab uspar lagega mahal ke niyamon ko todne ka aarop? Kise chunegi aakhir wo, apne farz ko ya apne prem ko? Janne ke liye suniye Kamayani.


