Bengaluru ki tezz-tararr journalist Aditi Joshi teen high-profile maut ke cases ke peechhe chhipe raaz ki talaash mein nikalti hai. Ek benaam email usse le jaata hai ek anjaani aur khaufnaak company ke naam tak, "Dark Karma Inc.", ek aisi company jo apne victims ke bure karmon ka hisaab leti hai. Jaise jaise Aditi sach ke kareeb jaati hai, uski zindagi ek psychological game ka hissa ban jaati hai. Kya woh is karmon ke khel mein zinda bach payegi?




