Hotel ke room me ek raat Anvesha ka rape ho jata hai. Use lagta hai ki uska rape serial killer “hairdresser” ne kiya hai par Anvesha na apna rape saabit kar paati hai aur naa hi apne room me us serial killer ki mauzoodagi. Apne padosi ko uska package dene gai anvesha aise haalaaton me ghir jaati hai ki vo apne padosi ko hairdresser samjh pahle uska phir apne pati Akash ka katl kar deti hai. Is apradh kii saja se bachane ke liye Anvesha ke uncle aur vakeel Neeraj use mental asylum bhej dete hain. Par wahan maujood psychiatrist Dr. Purab Anvesha ko uske zurm ki saja dilwana chahte hain.. Kya Neeraj Anvesha ko bacha payenge? Kya Purab anvesha ko faansi ki saja dilwa payega? Akhir kaun hai hairdresser killer aur uska kya rishta hai Anvesha se? Janne ke liye sune Good Night Darling sirf KukuFm par.

