Dr. Ananya Bedi apne beete huye rishte ko peeche chhod kar Judge Arjun Rana ki patni aur chhoti si beti Pihu ki maa ban chuki thi. Zindagi mein sab kuch shaant lag raha tha, jab ek din uski mulaqat uske purane pyaar Aarav se ho gayi. Aarav ke wapas aane se Ananya ek baar phir apne dil, apne parivaar aur apne beete dard ke beech ulajh gai. Kya Ananya apne dil ko samjha paayegi, ya ek baar phir Aarav ke jaal mein phans jaayegi?



