13 April, 1919 ko General Dyer ne Amritsar ke Jallianwala Bagh mein Baisakhi ki khushiyan manane aaye Bhartiyon ko apne ek order par khatam kar diya. Par kya aapko pata hai, Bharat ke itihas ke iss khoonkhar villain ko British Government ne kabhi 'Patriot' ka samman diya tha? Itna hi nahi, aaj tak na toh Buckhingham Palace ne na hi British sarkar ne is hatyakaand ki maafi mangi hai. Itne logo ko maarne ke bad bhi Dyer shaant nahi hua tha, Wo Amritsar se aur bada badla lene ko taiyaar tha. Jane kya thi uski saazish aur kaise hua tha uska ant?







