Raja ke political moves unhe Indian Politics ka king banayengi, ya hoga unka patan? 1.76 lakh crore ke scam ki aisi kahani jo na aapko sirf hairaan karti hai par saath hi batati hai ki Rajneeti ki galiyaron mein hone wale un dirty games ke baare mein jiski bhanak bhi aam insan ko nahin hoti. (2G scam ke poore sach ko samne rakhne ke liye es show mein creative liberty li gayi hai.)


