Stock Market ek aisi market hai jise samajhna koi asaan baat nahi hai, saalon ka experience rakhne waale traders bhi apne aap ko ek learner hi kehte hain aur market ko khud se bada batate hain. Lekin jo is market ko samajh lete hain unke liye stock market mein profit earn karna koi badi baat nahi. Aise hi logon ko hum aksar "Smart Investor" bulate hain. Humare is Original Audio Show mein aap jaanenge ki aap bhi kaise ek "Smart investor" ban sakte hain aur market ko samajh sakte hain. Agar aapko 'Intelligent Investor' Jaisi books pasand hain to ye show zaroor sunein.

