Stanford jaisi duniya ki top university mein jaana 1% chance hai, lekin ek game-changing company banane ka chance sirf 0.001% . Yeh baat samajh kar do dost - Kaivalya Vohra aur Aadit Palicha ne 19 saal ki umar mein Stanford chhod kar ek sapna dekha. Sapna Zepto ka, jo sirf 2 saal mein $1.4 billion ki company ban kar 2023 ka pehla Indian unicorn bana. Par sawal yeh hai ki kya sirf business skills aur dimag kaafi hai? Ya fir mehnat ko apni zindagi ka hissa banana padta hai? Success ke liye kitni kurbaani deni padti hai? Aur sabse bada sawal - kya ye entrepreneur ka safar, itni qurbani ke layak hai?











