Aman Dixit, ek bada aur taaqatwar business tycoon hai, lekin uski zindagi ka ek aisa pehlu bhi hai, jise duniya ne kabhi nahi dekha. Uski chakachaundh bhari duniya ke peeche chhupa hai ek aisa kala sach, jahan paisa, power aur prestige ke beech ek aurat ki izzat, uska pyaar, aur maa banne ki khushi, kuch logon ke ego aur jhooti shaan ki bali chadh jaate hain. Aman ki patni, Mansi ko pehli baar apne pati ke office jane par milti hai aisi beizzati aur aisa zulm, jisme na sirf uski maan-maryaada kuchli jaati hai, balki uski kokh mein pal rahi masoom zindgi ko bhi khatm kar diya jata hai. Ab sawaal sirf yeh nahi hai ki kya Aman is sach ko jaan payega ya nahi, balki yeh bhi hai ki kya Mansi sirf rokar reh jaayegi, ya phir apne liye insaaf ki ladai ladegi?

