Hum sabko lagta hai na ki khana banana bahut hi tough kaam hai. Kabhi-Kabhi to aisa lagta hai ki bas koi khana banane ko na khe aur chahe jo karwa le. Khaskar din bhar thak kar office se ghar aane ka baad. Lekin khana to banana hi padta hai na boss. kab tak bahar ka kahyenge. Isiliye hum aapki is samsya ka ilaaz laaye hain aur vo hai ye show "Dinner With Adventure". jiski madad se aap aasani se badhiya khana bhi bana sakte hain aur chahein to ise apna passion bhi bana sakte hain.











