Karol Bagh ki saree dukaan mein kaam karne wale anaath Krishna par chori ka jhootha ilzaam lagta hai aur woh sadak par aa jaata hai. Usi toofani raat woh ek bujurg ki jaan bachata hai, jo desh ke sabse bade billionaire Yashvardhan Singhania nikalte hain. Yashvardhan use apni company ka Chief Advisor bana dete hain. Krishna apne tez dimaag se 5000 crore ka ghotala pakadta hai, par lalchi Karan aur Vikram uski jaan ke dushman ban jaate hain.















