Fourth Estate kahani hai do aise rivals ki, jo zindgi ke do alag raaston par chalte hue, ek doosre se ulajh jaate hain! Ek taraf hai Dinesh Raizada, jo naxalite attack mein apne poore pariwar ko kho chuka hai aur ab uski zingi ka maqsad hai naxaliyon ko khatm karna, jismein seedhi banta hai Colonel Ranjeet ka akhbaar 'Mashaal' aur doosri taraf hai Vikrant, jo politics join karke desh ke halaat badalna chahta hai, lekin apne dad ki expectations ke chalte, wo family business sambhalne ko majboor ho gaya. Life ke tedhe-medhe raaste aur power ki bhookh ne Dinesh aur Vikrant ko aamne-saamne lakakar khada to kar diya, lekin, sacchai aur sensationalism ki ladai mein kya Dinesh ka DNN bazi maarega ya Vikrant ka VBC, TRP ki andhi daud mein sabko peeche chhod dega? Kya yeh rivalry sach ka ujala laayegi, ya fir purane zakhm, ego, aur power ki aag mein sabkuch jal kar raakh ho jayea?






