Bade bujurg humesha humein yahi kehte the “Beta abhi shuruaati dino mein mehnat karlo phir tumhari life set hai”. Lekin aaj ke is daur mein hum is baat ka matlab nahi samajh paate hain. Humein lagta hai ki abhi 20’s ka yeh samay to life ko enjoy karne ka hai hum abhi se itni zimmedariyan kyun lein. Lekin doston 20’s ka daur humari life mein sabse zyada mayne rakhta hai yahi vo daur hai jab hum apni life ko ek naya mod de sakte hain, use bana sakte hai ya bigad bhi sakte hain. Isi baat ko aap is Audiobook mein samajh paayenge aur apne 20’s ko apni life mein useful decade bana paayenge.













