Mumbai ke Mehra House mein Dhruv ek nakara servant bankar aata hai, jo ghar ki malkin Simran ko bilkul pasand nahi. Tab London se wapas lautti hai Simran ki iklauti beti Tara. Dhruv pehli hi nazar mein Tara se pyaar kar baithta hai, lekin Tara ka boyfriend Sameer unke beech badi deewar ban jata hai. Simran ke taane aur Sameer ki teekhi nazron ke beech kya Dhruv Tara ko impress kar payega? Aur kya Tara jaan paayegi Dhruv ka sach? Kaun hai Dhruv, ek nikamma naukar ya ek shaatir shehzada?
