Satyagrah, Mahatma Gandhi ka sikhaya protest ka aisa tarika hai jisse bina kisi violence ke aam logon ne British government ko jhuka diya tha. Par azadi ki ladai ka pehla satyagrah kab hua tha? Champaran se Lekar Dandi tak aur kitne satyagrah hue? Aur aakhir kaise is anokhe andolan ne British government ko peechhe hatne par majboor kar diya? Gandhi kaise mahatma bane? Aaiye jaante hain is show mein.








